verse 1 Dil kahe kahaaniyan pehli dafa Armaano mein rawaniyan pehli dafa Pre-Chorus Ho gaya begana main hosh se pehli dafa Pyaar ko pehchana ehsaas hai yeh naya Suna hai, suna hai.. Yeh rasm-e-wafa hai Jo dil pe nasha hai Woh pehli dafa hai (x2) verse 2 Kabhi dard si, kabhi zard si Zindagi benaam thi Kahin chahatein hui meherbaan Haath badh ke thaamti Ik woh nazar, ik woh nigaah Rooh mein shaamil iss tarah Pre-Chorus Ban gaya afsana ik baat se pehli dafa Paa liya hai thikana baahon ki hai panaah Suna hai, suna hai.. Yeh rasm-e-wafa hai Jo dil pe nasha hai Woh pehli dafa hai verse 3 Lage bewajah alfaaz jo Woh zaroorat ho gaye Taqdeer ke kuch faisley Jo ganimat ho gaye Badla hua har pal hai Rehti khumari har jagah Pre-Chorus Pyaar tha anjaana hua saath mein pehli dafa Yeh asar ab jaana kya rang hai yeh chadha Suna hai, suna hai.. Yeh rasm-e-wafa hai Jo dil pe nasha hai Woh pehli dafa hai (x2)
Watch the song video
Top songs from Atif Aslam
Jeena Jeena
Be Intehaan
Le Ja Tu Mujhe
Hona Tha Pyar
Ik Mera Yaara
Dil Diyan Gallan
Tere Sang Yaara
Woh Lamhe
Piya O Re Piya
Rang Jo Lagyo